Tuesday 17 April 2007

'Aisi kashish bhari nigaahon se dekha unhone
Ki thehar gaye do pal hum
Naa nigaahen hatti banti, na lagti thamti
Us lamhe ki umar na poocho humse,
Yaad to sirf us nazar ki gehraaye hai humein'

5 comments:

Unknown said...

Yaad to sirf us nazar ki gehraaye hai humein'

Awesome stuff

Anonymous said...

waqt se aaj phir takra raha hoon,
jaan kar dil ke zakhmon ki ginti ko bada raha hoon,

pyaar nahin hai kismat mein, shayad
aaj phir apni kismat ko manaa raha hoon.

tera saath mere naseeb main nahin hai, magar
tere zakhm ke liye jagah saja raha hoon...

Shikha said...

Dekhte hi woh aise samaa gaye aankhon mein, ki
Ab har lamha unhi se aankhen chaar hoti hai..

Monica Gulati said...

wah huzoor wah, tabiyat mast ho gayi mari pad ke.. Subhaanallah!!!

Anonymous said...

aaz bhi jab vo yaad aati hai nigahany
dil tham sa jaata hai kuch lamho kay liyay
vo gujra waqt tasveer ban utar aata hai
kaash vo samajh paatay vo mohbbat thi to aazhum tum na do kinaray hotay